Search This Blog

Jab se Tera Pyar Mila - Lyrics with Mp3 and Video



Jab se tera pyar milaa, Dil rehta hai khila khila Oo baba tumne to humko heera bana diya,
Shukriya, Shukriya, Shukriya, Shukriya,
Shukriya, Shukriya, Baba Tera shukriya
1. Murli mein hai baba teri, jaadu khudai
Jhoom raha hai man ka madhuban, behki amraayi
Aisa gyan diya humko jo humse mila diya
Oo baba tumne to humko heera bana diya,
Shukriya, Shukriya......
2. Socha na tha humne kabhi, prabhu ka pyar milega
Prabhu milega humko pyara prabhu parivaar milega
Paaravaar nahi khushiyon ka, khushnuma bana diya
Oo baba tumne to humko heera bana diya,
Shukriya, Shukriya......
3. Tan ke manjusha mein, chetan cham cham chamke heere
Fail rahi ruhani roshni, jahan mein dheere dheere
Nayi duniya ki raah dikhane, rehnuma bana diya
Oo baba tumne to humko heera bana diya,
Shukriya, Shukriya...... 







Tum To Aatma Ho Sharir Nahi Ho - Lyrics with Mp3



Tum To Aatma Ho, Tum Sharir Nahi Ho 
Tum bin to jaise tarkash mein, teer nahi ho
Tum to aatma ho...
1. Tum ho to hai sharer mein, roshni kaayam
Tum ruh ho badan mein hai jindgi kaayam
Tum bin to jaise kalash mein, neer nahi ho
Tum to aatma ho...
2. Ye tan tumhara rath hai, tum is rath mein ho rathi
Nishchay vijay tumhari hai, prabhu jo saarthi
Kabhi na jo adheer ho, tum vo mahaveer ho
Tum to aatma ho...
3. Naa toote na gire kabhi, tum vo sitaare ho
Mastak gagan mein chamakte, prabhu ke pyare ho
Nirbhay bano ke paani par, lakeer nahi ho
Tum to aatma ho...




Featured post

O Madhuban Wale Baba - Reprised Lyrics with Video

O madhuban wale baba, o meethe pyare baba Bhala kaise bhulayein tera pyar Baba...baba Jo baba se kiya tha humne, vo vaada nibhana hai Bhala ...