Search This Blog

Ek Hi Armaan Hai Zindagi Ho Khushnuma - Lyrics


Ek hi armaan hai,  Zindagi ho khushnuma
Is jagat ke vaaste, hau banein ab rehnuma.. ham bane rehnuma
Ek hi armaan hai, Ek hi armaan hai, Ek hi armaan hai

1. Mann banein madhuban hamara, mehke jag ye upavan sara
 Karde pavan sabka jivan, jo bahe ganga ki dhara, 
karde sheetal tapate urko, banke chetan chandrama
is jagat ke vaaste hum banein ab rehnuma
hum bane rehnuma........

2. Pyar bharkar ke hriday mein, pyaas har mann ki bujhayein
Jyoti jeevan ki jagakar, gyaan ka deepak jalayein, 
Dekh karke karm apne khush hon prabhu paramaatma
Is jagat ke vaaste hum banein ab rehnuma
hum bane rehnuma........

3. Sanson ki saragam se gunje, geet bas bhagvaan ka
Dhadakano se shabd nikale, khushiyon ke vardaan ka
Nek chintan se badal dein, ye jamin aur aasma
Is jagat ke vaaste hum banein ab rehnuma
hum bane rehnuma...........






Chalo Musafir Apne Ghar - Lyrics


Chalo musafir apne ghar, ab to pura hua safar
bula raha he vatan tumhara, mukh ka rukh ab karo udhar
ab to pura hua safar
chalo musafir apne ghar...

1. Din wo kitne pyare the, sukh ke bhare nazare the
dharati ambar chand sitare, sare hue hamare the
kab aayenge din fir kal, yaad aate he reh reh kar
ab to pura hua safar
chalo musafir apne ghar....

2. Kal tak jo bhi tha apna, aaj hua sara sapana
bhool gaye nij ghar ki raah, paye dukh na jisake hath
pag pag par khayi thokar, choor ho gaye ho thak kar
ab to pura hua safar
chalo musafir apne ghar...

3. Param pita ki baahon mein, aao prabhu panahon mein
rajyog ki rahon mein, sheetal sheetal chhaon mein
agar magar ki chhod dagar, nazar karona aur kidhar
ab to pura hua safar
chalo musafir apne ghar..........





Featured post

O Madhuban Wale Baba - Reprised Lyrics with Video

O madhuban wale baba, o meethe pyare baba Bhala kaise bhulayein tera pyar Baba...baba Jo baba se kiya tha humne, vo vaada nibhana hai Bhala ...