Chalo musafir apne ghar, ab to pura hua safar
bula raha he vatan tumhara, mukh ka rukh ab karo udhar
ab to pura hua safar
chalo musafir apne ghar...
1. Din wo kitne pyare the, sukh ke bhare nazare the
dharati ambar chand sitare, sare hue hamare the
kab aayenge din fir kal, yaad aate he reh reh kar
ab to pura hua safar
chalo musafir apne ghar....
2. Kal tak jo bhi tha apna, aaj hua sara sapana
bhool gaye nij ghar ki raah, paye dukh na jisake hath
pag pag par khayi thokar, choor ho gaye ho thak kar
ab to pura hua safar
chalo musafir apne ghar...
3. Param pita ki baahon mein, aao prabhu panahon mein
rajyog ki rahon mein, sheetal sheetal chhaon mein
agar magar ki chhod dagar, nazar karona aur kidhar
ab to pura hua safar
chalo musafir apne ghar..........
No comments:
Post a Comment