Jaisa Karm hoga, Vaisa phal paaoge
Shreshth karan ka adhar hai, khud ka kar lo darshan
Yahi Jeevan ka saar hai, Yahi Jeevan ka saar hai
Jaisa Sochoge Tum, Vaisa Ban Jaaoge
Jaisa Karm hoga, Vaisa phal paaoge
1. Man mein ho shubh sankalp to, Jeevan mein fir dukh kaisa
Jab antar me shubh bhavana to dil mein sukh saavan jaisa
Haar kar jo naa haare, jeet usi ki hoti hai
Ghanghor andhere mein bhi jalti, jagmag uski jyoti hai
Jaisa dekhoge Tum, Vaisa Ban Jaaoge
Jaisa chahoge Tum, Vaisa Ban Jaaoge
2. Ye sooraj hai to hai kiran, baadal hai to hai pavan,
Pran hain to hai tan man, saat suron mein hai sargam
Jo Dharti hai to hai sagar, jal thal hai to hai Jeevan
Jeevan hai to bhagwan
Bhagwan ke sang, samay karo safal
Jaisa karan karoge vaisa paaoge phal
Jaisa Sochoge Tum, Vaisa Ban Jaaoge
Jaisa Karm hoga, Vaisa phal paaoge
Shreshth karan ka adhar hai, khud ka kar lo darshan
Yahi Jeevan ka saar hai, Yahi Jeevan ka saar hai
Jaisa Sochoge Tum, Vaisa Ban Jaaoge
Jaisa Karm hoga, Vaisa phal paaoge
-----------------------------------------------------------------------------
जैसा सोचोगे तुम, वैसा बन जाओगे
जैसा कर्म होगा वैसा फल पाओगे
श्रेष्ठ कर्म का आधार है, खुद का कर लो दर्शन
यही जीवन का सार है, यही जीवन का सार है
१. मन में हो शुभ संकल्प तो, जीवन में फिर दुख कैसा
जब अंतर में शुभ भावना तो, मन में सुख सावन जैसा
हार कर जो न हारे जीत उसी की होती है,
घनघोर अंधेरे में भी जलती , जगमग उसकी ज्योति है
जैसा देखोगे तुम, वैसा बन जाओगे
जैसा चाहोगे तुम, वैसा बन जाओगे
२. ये सूरज है तो है किरन, बादल है तो है पवन
प्राण है तो है तन मन, सात सुरों में है सरगम
जो धरती है तो है सागर, जल थल है तो है जीवन
जीवन है तो है भगवन
भगवान के संग, समय करो सफल
जैसा कर्म करोगे, वैसा पाओगे फल
जैसा सोचोगे तुम, वैसा बन जाओगे
जैसा कर्म होगा वैसा फल पाओगे
श्रेष्ठ कर्म का आधार है, खुद का कर लो दर्शन
यही जीवन का सार है, यही जीवन का सार है