Search This Blog

Andhiyare Sabhi Mitt Rahe - Lyrics

Andhiyaree sabhi mitt rahe, Ujiyara aa gaya
Gyan surya phir se, Shiv pyara aagaya..

1. Sansar fasa hua tha, Vikaroon ke jaal mein,
    Har manav bandha hua tha, dukh ke janjaal mein,
    Har aatma ka phir se wo sahara aa gaya
Gyan surya phir se........

2. Vikaroon ke sagar mein, Is jag ki nao thi,
    Ishwar bachao aakar, aati aawaj thi,
    Har Nao ko bachane, wo kinara aa gaya
Gyan Surya phir se.....

3. Andhkaar me the bhatke, milthi na rah thi,
    Parmatma ko payen, sab ki ye chah thi,
    Har Jyoti ko jaganae, Wo dubara aa gaya
Gyan Surya phir se....


Jana Hai Hamein Apne Param Dham - Lyrics

Jaana Hai Hamein Apne paramdhaam,
Jaana Hai Hamein Apne paramdhaam, Jahan deh Na Hai, Na Deh Ka Bhan..

1. Sooraj Chand Sitaron Ke paar, Us Ghar Mein Hai Shanti Apaar
     Vahan Pavitrata Aur Prakash, Karti Hai Vahan Aatma Nivaas

Jana Hai Hamein Apne Param Dham

2. Vahan Naa Karm Hai, Naa Dharm Hai, Na Sukh-Dukh ka koi Bharam Hai
    Aanand hi Aanand Vahan, Shiv Baba Rehte Hain Jahan...

Jaana Hai Hamein Apne paramdhaam,
Jaana Hai Hamein Apne paramdhaam, Jahan deh Na Hai, Na Deh Ka Bhan..




Shiv Ki Yaad Rahegi Tab - Lyrics

Arey Shiv Ki Yaad Rahegi Tab
Aankhon Mein Samaya wo Hoga....
Hum Dhanya  tabhi Ban Paayenge..
jab Aisa priya Jeevan hoga...
Yahan Hamara tan Hoga.... waha Hamara man hoga..

1. Jahan Hota Hai Manav ka Dhan,  Vahin Hota Hai Uska man,
    Is liye Parmatma ne bataya, Mujh Se Laga Lo Apna man
    Ham Sa Nahi Koi Zamane Mein Rachna Rachta ka Gyan JiSe
    Par Aisa Bhi Banna hoga, Nahi Kabhi Abhimaan Jise
Yahan Hamara tan hoga waha Hamara man hoga

2. Yeh Duniya to Mayavi hai, Maiya Se Bhala Kaisi Yaari,
    Apne Toh do hi thikane hain, Vaikunth Duniya Nirakari
   Dhundhla Sa andhiyara hai, Deepak se Ujiyara hoga,
   Ye Aankh Bhi tan ka Deepak hai Yeh Gyanjivan Deepak Hoga
Yahan Hamara tan hoga, waha Hamara man hoga
Arey Shiv Ki Yaad Rahegi Tab
Aankhon Mein Samaya wo Hoga....
Hum Dhanya  tabhi Ban Paayenge..
jab Aisa priya Jeevan hoga...
Yahan Hamara tan Hoga.... waha Hamara man hoga..

Download Mp3 Here




O Baba Hum To Hain Tere - Lyrics

O Baba Hum To Hain Tere...
Tum bhi Baba.. Hamare Ho....

O Baba Hum To Hain Tere...
Tum bhi Baba.. Hamare Ho....

Tum hi Maat- Pita.. Tum hi ho.. Shikshak... 2
Tum hi Sad Guru... Sahare Ho...

O Baba Hum To Hain Tere...
Tum bhi Baba.. Hamare Ho....

1. Tumhi ne diya Jeevan.. Mamta se Paala hai,
    Jhulaya hai prem palkon Mein.. Dil me Sambhala Hai... 2
    Sada Haazir hoo.. Khidmat Mein... Jo Khud ko Hum Pe.. Vaare Ho...

O Baba Hum To Hain Tere...
Tum bhi Baba.. Hamare Ho....

2. Jag Saara Dhoondha Humne.. Koi na tha Apna,
    Jise Apna Samajhte The.. Vo tha Saara Sapna.. 2
    Hain Sab Sambandh.. Ab Tumse... Tumhi Aankhon ke Taare ho...

O Baba Hum To Hain Tere...
Tum bhi Baba.. Hamare Ho....
Tum hi Maat- Pita.. Tum hi ho.. Shikshak... 2
Tum hi Sad Guru... Sahare Ho...

O Baba Hum To Hain Tere...
Tum bhi Baba.. Hamare Ho....




Featured post

Baba Teri Yaadein Hain - Lyrics | Bk Songs Lyrics

Baba teri yaadein hain Mere jeevan ka sahaara Baba teri yaad hai Mere jeevan ka sahaara Main na dekhoon ab Ek tere siwa kahin aur na dobara ...