Search This Blog

Milan Ki lagan Mein - Lyrics with Mp3 and Video




Milan ki Lagan Mein, Magan aaj Man hai
Pulkit pavan hai, ye gunjit gagan hai
Prabhu ki praiksha mein, saara bhuvan hai
Aangan mein Shiv ka ye shubh aagman hai
Milan ki Lagan Mein, Magan aaj Man hai

1. Dhadkan ki taaren usse judi hain,
Raahon mein apalak nigaahein gadi hain
Ghadi ye badi de rahi, sukh saghan hai
Aangan mein Shiv ka ye shubh aagman hai
Milan ki Lagan Mein, Magan aaj Man hai

2. Yugon se jise humne, sarvatr dhoondha
Janmo janm jisko jee bhar ke pooja
Naa koi dooja, mera prandhan hai

3. Drishti se srishti, sajne lagi hai
Vardaano ki Vrishti, Hone lagi hai
Mehka chaman chehka, har anjuman hai
Aangan mein Shiv ka ye shubh aagman hai
Milan ki Lagan Mein, Magan aaj Man hai







Karo Tapasya - Lyrics with Mp3 and Video


Karo Tapasya, Ab Karo Tapasya
Yog tapasya ke bal se, pavan yug fir laana hai
Karo Tapasya, Ab Karo Tapasya...

1. Tumhare tap se paavan honge, dharti aur gehra aakash
Paanch tatv me bichrega yogi jeevan ka prakash
Yog ki drishti se ab tumko, man ka mail mitana hai
Karo Tapasya, Ab Karo Tapasya...

2. Jodke apna naata shiv se, chhod ke is tan ka abhiman
Deh se nyare atma roop se, karna hai ab yog ka daan
Yog ki dhara behti jaaye, amrit sabko pilana hai
Karo Tapasya, Ab Karo Tapasya...

3. Yog sanjeevni booti aisi, jo avinashi raaj dilaye
Raajrishi hi aisi amulya mani ko apne vash kar paaye
Rajyog ke prabhav se, sansaar ko hosh me laana hai
Karo Tapasya, Ab Karo Tapasya...

----------------------------------------------------------------------------


करो तपस्या, अब करो तपस्या 
योग तपस्या के बल से, पावन युग फिर आना है
करो तपस्या, अब करो तपस्या 

१. तुम्हारे तप से पावन होंगे, धरती और गहरा आकाश
पांच तत्व में बिखरेगा, योगी जीवन का प्रकाश
योग की दृष्टि से तुमको , मन का मैल मिटाना है
करो तपस्या, अब करो तपस्या 

२. जोड़के अपना नाता शिव से, छोड़ के इस तन का अभिमान
देह से न्यारे आत्मा रूप से, करना है अब योग का दान
योग की धरा बहती जाए, अमृत सबको पिलाना है
करो तपस्या, अब करो तपस्या 

३. योग संजीवनी बूटी ऐसी , जो अविनाशी राज दिलाये
राजऋषि ही ऐसी अमूल्य मणि को अपने वश कर पाए
राजयोग के प्रभाव से, संसार को होश में लाना है
करो तपस्या, अब करो तपस्या 





Prem Se Bas Do Ghadi - Lyrics with Mp3 and Video



Prem Se Bas Do Ghadi, prabhu ka dhyan kijiye
Apni antar aatma ko, shanti se bhar lijiye
Prem se bas do Ghadi...

1. Manav jeevan mein jaise, satkrm ka gyan jaruri hai
Har karm se pehle, pyare prabhu ka, vaise dhyan jaruri hai
Apne dil ke daaman ko, aanand se bhar lijiye
Aanand se bhar lijiye
Prem se bas do Ghadi...

2. Jevvan ki anmol ghadiya, Yuhin beet na jaaye kahin
Maayavi janjeere man ko ,aakarshit kar paye nahi
Deep jalakar gyan ka mann ko roshan kijeeye
mann ko roshan kijeeye
Prem se bas do Ghadi...



--------------------------------------------------------------------------------------------

प्रेम से बस दो घड़ी, प्रभु का ध्यान कीजिए 
अपनी अन्तरात्मा को, शांति से भर लीजिए 
प्रेम से बस दो घडी... 

१. मानव जीवन में जैसे सत्कर्म का ज्ञान जरुरी है 
हर कर्म से पहले प्यारे प्रभु का वैसे ध्यान जरुरी है 
अपने दिल के दामन को, आनंद से भर लीजिए 
आनंद से भर लीजिये 
प्रेम से बस दो घडी... 

२. जीवन की अनमोल घड़िया यूही बीत न जाए कहीं 
मायावी जंज़ीरे मन को आकर्षित कर पाए नहीं 
दीप जलाकर ज्ञान का मन को रौशन कीजिए 
प्रेम से बस दो घडी... 






Featured post

O Madhuban Wale Baba - Reprised Lyrics with Video

O madhuban wale baba, o meethe pyare baba Bhala kaise bhulayein tera pyar Baba...baba Jo baba se kiya tha humne, vo vaada nibhana hai Bhala ...