Jab Se Hai Jana, Tujhe Meethe Baba
Jeevan Hua, Khushiyon se Vibhor
Man me Aasha ki kirne, Dekhe jo aankhe terri oor
1. Satyam shivam sundaram se
Har pal mangal kalash ye jhalke
Sath tera ye paakar baba, man mein ye khushiya karti shor
Jab se hai Jana.....
2. Dekh tere pyar ki panghat ko
Chain mila hum pyaso ko
Jeevan mein sab kuchh hai paaya, jab se thami teri dor
Jab se hai Jana.....
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
जब से है जाना तुझे मीठे बाबा
जीवन हुआ खुशियों से विभोर
मन में आशा की किरणे, देखे जो आंखे तेरी ओर
१. सत्यम शिवम् सुंदरम से, हर पल मंगल झलके
साथ तेरा ये पाकर बाबा, मन में ये खुशियाँ करती शोर
जब से है जाना.....
२. देख तेरे प्यार के पनघट को
चैन मिला हम प्यासों को
जीवन में सब कुछ है पाया, जब से थामी तेरी डोर
जब से है जाना....
No comments:
Post a Comment